sentence
stringlengths
0
2.02k
sentiment
class label
3 classes
Zakhmi Havaldar Lalak Jan Shaheed ne is mission ke leye apni khidmat pesh kar dein
0Positive
Captain ne phele ye kaam unhen dene se inkar kar deya lekin Havaldar Lalak Jan Shaheed kisi na kisi tarah unhen qail karne mein kamyab rahe
0Positive
Havaldar Lalak Jan ne aik barod ka thela pusht par bandha aur AK 47 sanbhal kar Bharti gola bari ke darmiyan tiger hill se utre aur kisi ki nigah mein aaye bagheir khofiya banker tak ja pohanche
0Positive
Jab Lalak Jan ne ese uraya to aik zabardast dhamaka howa aur bharti foj ka gola barod barbad ho gaya
0Positive
ne jawabi fire kiya, unhen goliyan lagein lekin Shaheed hone se phele wo aik tawel waqat tak bhartiyon ko jawab dete rahe aur unhen roke rakha
0Positive
Jab un ka jism mila to tab bhi un ki gun un ke sene se lagi hoi thi
0Positive
Lalak Jan Shaheed shumali elaqajat se Nishan e Haider hasil karne wale phel sipahi the
0Positive
Jurat o bahaduri ki esi masalein pori duniya mein tariq mein khal khal hi dekhne ko milein gi
0Positive
Jab take se sapot zindah hain dushman humari sarzameen ki tarfa meli nigahon se dekhne ki himat nahi kar sakta
0Positive
Hashim ko bachpan se hi Squash se dewangi ki had tak shouq tha
0Positive
Hashin khan ne uss jaga ko daryaft kar liya tha jo unki aur unkey mulk ki waqar aur shohrat ki waja bani
0Positive
Squash se Hashim Khan ne aisa rishta qaim kiya jo lazwal bana unhon ne khud zati tour per aur phir unke khandan ke farzandon ne iss khail se aisa nata jora ke tareekh hi badal dali
0Positive
Shaid hi kisi khail mein kisi aik khandan ne aik khail per etni hukmarani ki hai
0Positive
Khan family ne Squash per taweel hukumat ki hai aur yeh kahna baja hoga ke unhon ne Squash ki tareekh ko apne haton se likah hai
0Positive
Iss lazwal kahani ki ibteda Hashim Khan se hoti hai Hashim ke mutaliq kaha jata hai ke unhon ne Squash ke khail ko hi tabdeel kardia Squash se dilchapsi ka yeh alam tha ke woh garam dopher mein officers ko khelta dekhte rahte they aur jab gaind Court ke bahar jati thi to uss ka taqub kerke usey wapis court mein phenk detey they
0Positive
Jab afsaran khail ker lot jate they to yeh Hashim ke court mein dakhil hone ka waqt hua karta tha woh chandni raton mein dair tak akele hi khelte rahte they yahi waja hai ke un ka stemina lajawab tha
0Positive
Hashim Khan gaind ke peachey bhagte bhagte kabhi nahein thakte they
0Positive
Thakawat naam ki cheese se to who waqif hi nahein they
0Positive
Hashim Khan hairat angaiz quwat deikh ker unke sathi pareshan ho jaya kerte they
0Positive
Hashim naqabil yaqeen salahyaton ke malik they
0Positive
Hashim cheete ki tarah phurti se gaind (ball) per lapakte they aur aise qabil e deed strokes khelte they is ka tasawar bhi mumkin nahein tha
0Positive
Isi liye kaha jata hai ke Hashim ne Squash ke kai strokes ijad keay yeh strokes sirf wahi khail sakte they
0Positive
Inn strokes ki badaulat Hashim Khan ne shuru se hi shohrat kamai aur apne harifon per dabao qaim kerne mein kamyab rahe
0Positive
Hashim ne Squash ki dunia mein qadam rakhte aik toofan barpa keya
0Positive
All India champion Abdul Bari ,Hashim ka pahla shikar bane yeh 1944 ki bat hai
0Positive
Abdul Bari uss waqt ke behtareen khelari mane jate they jinhein drop short lagane mein khasi maharet hasil thi lakin Hashim ke samne hetyar dalne pare amm khelari Abdul Bari ke drop short ka jawab dene sey qasir tha lakin Hashim ne apne pehle hi drop short ko flap ker deya
0Positive
1944 mein Bombay mein hone wale All India tournament mein shekhst khane ke bad Abdul Bari har bar Hashim Khan ka shikar bante rahe Abdul Barika zor toot chuka tha Hashim Khan ne Abdul Bari ki har martaba shikasht sey do char ker ke apni mokammal bartari ka saboot deya
0Positive
Lakin Hashim Khan ko rastah faraham keya gaya aur chandah akhttha ker ke unhein qismat azmai ke leay England rawana ker deya gaya 1951 mein British open ki shirket ke leay Hashim pahonch gaey aur atey hi unhon ne dhamaka ker deya
0Positive
British open sey chand din pehle Squash opoen ka ineqad hua jis mein champion Miser ke Mahmood Alkareem bhi shirket ker rahe they Mahmood guzashta char salon sey yeh tournament jeettey chale arahe they aur umeed yahi thi ke woh panchween martaba bhi kamyab lotein gein
0Positive
Lakin woh final mein Hashim Khan sey takra gaey Europe ke sarzameen per pehla tournament khelne wale Hashim Khan ne chand minton mein hi Mahmood ka final mein safaya ker deya iss khabar sey Squash ki dunia mein aik tahalka mach gaya yeh aik bahot bara set tasawar keya gaya
0Positive
Aor pher woh ghari agae is ka sab ko intezar tha London ke Lance down club mein British open ka agaz hua Mahmood Alkareem ne apne title ke dafa mein masroof they magar unki bad qismati ke final mein aik martabah pher Hashim Khan hi un ke samne they
0Positive
Hashim ne Mahmood ke sath British open mein bhi wahi salook keya jo unhon ne Squash open final mein keya tha Mahmood ko aik martabah pher ibretnak shikasht ka samna kerna para aur almi title pehli martabah Pakistan ke pass agaya
0Positive
Ab kisi ko hairat nahein thi ab sab log mutfiq ho chuke they ke Hashim Khan hi asli champion hai yahein sey iss kahani ka agaz hota hai Khan family Squash ki dunia mein aie aur cha gaie
0Positive
British open per Khan family ki ajarah dari shuru ho gaie Hashim Khan ne sath martabah iss tournament ko jeeta iss dauran un ke chote bhai Azam Khan, kazan Roshan Khan aur bhanje Mohibullah Khan ne bhi apni salahyaton ka loha manwaya
0Positive
1951 aur 1963 ke darmeyan hone wale 13 British open final mein rasai hasil karne wale 26 khelaryon mein sey 22 ka taluq Khan family sey tha Hashim 8 martabah British open ke final mein pahonche jabke unke bhai Azam Khan bhi sat martabah final kheley
0Positive
Azam ko yeh azaz hasil hua ke unhon ne British open ka sab sey kem waqt mein jeeta apne hi kazan Roshan ko bari maharet set zair keya tha yeh bara hairat angaiz moqabla tha jis mein Azam ne Roshan ko koi moqa nahein deya shaiqeen to yeh bhi samajhne lage they ke momkin hai ke Roshan mokammal tor per fit nah on lakin aist koi bat nahein thi Azam khail per mokammal tor per chaey huey they aur Roshan jaise azeem khelari bhi bea bes ho gaey they
0Positive
Iss aik tarfa final ke bad hi British open ke muntazmeen ne faisla keya tha ke teesre aur chouthe position ke leay bhi final wale din hi moqablah hua kare ga take shaiqeen ko khail ka lutf hasil ho sake
0Positive
Hashim ne jald hi American squash mein apna moqam bana liya
0Positive
Hashim Khan ne Bartanya se zayada America mein tournament jeete
0Positive
Barhti umer ke bawajood Hashim America aur Canada mein hone wale moqablon mein sur khuru rahe
0Positive
Jab Hashim, Azam aur roushan ne American cricket ko khair baad kaha to un ki nasal ne kamyabi ke safar ko jari rakha Mohibbullah Khan 1969 tek American tournament jeette rahe pher Hashim ke bare sahebzade Sharif Khan agae
0Positive
North American title 13 sal mein 12 martabah jeet ker Sharif ne apne walid aur apne khandan ka ser mazeed uncha keya American cricket mein gair mamooli kar kerdagi un ki ala salahyaton ka munh bolta saboot thi
0Positive
1950 ki dahai mein Khan family keg air mamooli karnamon ki badault Pakistan Squash ki dunia mein sare fahrist raha
0Positive
Aftab jawed British Amateur o Champion ship jeetne mein kai martaba kamyab rahe balke unhon ne to yeh title teen sal laga tar jeeta 1964,1965,1966 mein yeh title jeet ker British Amateur Champion ship ki 44 sala tareekh mein woh teesre khelari they jinhein hat trick ka ajaz hasil hua
0Positive
1964 ke bad jab Mohibbullah Khan ne British open title jeeta Pakistan ko yeh ejaz 1965 mein hasil hua iss martaba dono Pakistani khelari Qamar Zaman aur Gogi Allauddin pahonche they lahza title to Pakistan ana hi tha Qamar ne Gogi ko shikast de ker pahli martaba Open jeetne ka ejaz hasil keya
0Positive
Almi cricket mein kai umda khelaryon ki maujudgi ke bawajood Jaif Hint 1976 sey 1981 tek British open ka ejaz jeette rahe Hint bahot achcha khelte they aur un ki ala technic ko matt dene ke leay kisi bahot hi azeem khelari ki zaroorat thi
0Positive
Iss azeem hasti ka nam Jahangir Khan tha jis ne Hint ko Squash ko khair bad kahne per majboor ker deya Jahangir ki kahani iss fateh alam ki kahani hai jo apni na qabil yaqeen salahyaton ki bunyad per bagai ruke jadoo jagata raha unhein Squash ka Sikender E Azam bhi kaha ja sakta hai jis ke samne koi ruk nahein pata tha
0Positive
Jahangir ne Squash ki dunia mein 1979 mein qadam rakah tha iss sal Australia mein hone wali world champion ship mein unko iss leay moqa deya tha ke woh chand din pahle hi beemar per jane ki waja sey mokammal tour per sehatyab nahein huey they lakin issi sal Jahangir ne 15 sal ki umerw mein World Amateur title jeet ker yeh sabit ker deya ke uski shakal mein aik tareekh saz khelari chupa hua hai aur ane wale salon mein bilkul aisa hi hua
0Positive
Jhangir Khan ke bare bhai Tourism Khan bhi aik manjeh hue khelari they Tourism Khan dunia ke 15 bare khelaryon ki fahrist mein they aur Inter National Squash Players association ke sadar bhi they un ke kazan Rahmat Khan dunia ke 12 behtareen khelaryon ki saf mein shamil ho chuke they Rahmat ke walid Nasrullah Khan Air land ke Juna Bair Ligtan ke coach rah chuke they
0Positive
Rahmat Khan aur Torsam Khan ka irada tha ke woh England mein aik achche Squash club mein malkana haqooq hasil ker lein aur wahan Jahangir Khan ko bola ker training di jae take woh Australia ke Haif Hint ki mosalsal perwaz ko rokne ka bandobast ker sakein
0Positive
Jahangir Khan apne barae bhai Torsam ke khail sey bahot motasir they
0Positive
Rahmet ne Jahangir Khan ko dobara Squash kort mein lane mein aham kirdar ada keya Rahmet ko yeh andaza tha ke Jahangir mein khudad salahyatein maujood hain aur umda training aur coatching sey un ke khail mein mazeed nikhar paida ho sakta hai
0Positive
Rahmet ne apne khandan ke buzurgon aur Pakistan Inter National Air lines ke ohdedaron ko razi ker leya ke England jaker hi Jahangir woh sare ezazat hasil ker sakta hai jis ki sab ko tamanna hai Rahmet Khan ko ejazat to mil gai lakin ajpne mansoobe ko amli jama pehnane ke leay unhein do sal ki mohlet di gai
0Positive
Rahmet Khan ne iss challenge ko qabool ker leya aur apne mishan pewr rawana ho gae unhein yeh bata deya gaya tha ke nakami ki surat mein qaum ka unhein ko kerna pare ga Rahmet Khan ko na jane Jahangir mein keya nazar agaya tha ke woh shooru sey hi pur umeed dekhai dete they
0Positive
Aur theek do sal bad woh khab haqeeqat mein tabdeel ho gaya woh mission kamyab raha jis per Rahmet Khan rawana huey they 28 November 1979 Torsam Khan ka inteqal hua tha aur 28 November 1981 ko Jahangir ne Canada ke shaher Toronto mein Jaif Hint ko hara ker nae Almi Champion banne ka ejaz hasil keya
0Positive
Simi final mein Jahangir ne Hadayat Jahan ko shikst di thi jabke Hint ne doosre simi final mein Faqmer Zaman ko haraya tha 34 sala Hint World open mein naqabil taskher chale arahe they aur 1975 sey hone wale iss tournament mein har bar fateh lout rahe they
0Positive
Hint ne pehla game 7 9 sey jeeta magar 58 minut tek chalne wale iss game sey andaza hone laga tha ke Jahangir hathyar dalne ke mood mein nazar nahein ate 56 minut ke taweel dauranya wale pehle game mein hi 34 sala Hint ko tawaqat sey zayada jaddo jahed karna pari thi
0Positive
17 sala Jahangir ne Hint ko itna zayada pehle hi game mein thaka deya tha ke un ki tawanai mein kami nazar ane lagi thi Hint apne harifon ko thaka ker harane mein mashhoor they lakin iss roze woh khud shikar ho rahe they yeh umda mansooba bandi ka nateja tha Jahangir ne pehla game iss andaz mein khela tha ke usey zayada sey zayada lamba keya ja sake
0Positive
Jahangir apni shason mein kamyab rahe aur agle teen game sirf 30 minut ke ander jeet leay iss tarah Hint ki kamyabyon ka silsila khatam hua aur un ki jaga aik naujawan Pakistani ne le li
0Positive
Aur yahan se aik ahad ki shuruat huein aenda panch salon tek Jahangir Khan ko iss dunia ka koi bhi khelari hara na saka iss dauran unhon ne 500 sey zayada matches khele aur har martaba kamyabi hasil ki yeh aisa record hai jis ki misal Squash mein to keya kisi aur khail mein bhi nahein milti
0Positive
Iss zamane mein Jahangir ke khelaf aik match to keya aik game ya sirf aik point hasil kerna bhi un ke hareef ke leay fakhar ki bat samjhi jati thi
0Positive
November 1986 mein Newzi Land ke Roos Norman ne woh karnama anjam deya jis mein guzashta panch sal sey bzayada arsa mein har aik nakam raha tha Norman kai martaba Jahangir sey shikast kha rahe they lakin 1986 ke world open final mein Squash ki dunia ka azeem tareen khelari zair ho hi gaya
0Positive
Jahangir ne chand hi dino bad Norman ko kai moqablon mein hara ker world open ki shikast ka badla le leya aur apni kamyabton ka silsila jari rakha
0Positive
London hi mein training hasil karne wale Pakistani naujawan Jansher Khan 1986 mein Squash ki ufaq per ubhre aur Jahangir Khan ke leay aik sakht khan hareef sabit huey Jansher ke bare bhai Mohibbullah Khan junior bhi aik achche khelari they jinhon ne 1976 ka British open final khela tha
0Positive
Jansherbhi bila shuba aik azeem khelari they un ka moqabla Jahangir Khan ke sath 37 martaba hua 1993 ke world open final tak dono baraber yani 18 matches jeete they akhri moqabla Jansher ne jeeta iss tarah un ke darmeyan record 18 19 ho gaya
0Positive
Jahangir ki retirement ke baad almi satah per Jansher Pakistan ki wahid umeed hua kerte they Jansher ne apne weaqt ke behtareen khelaryon ko mosalsal harate rahe aur khud shazonadir hara kerte they
0Positive
Bradman ke des Australia ke mayanaaz batsman, bakamaal fielder aur bemisaal captain Ricky Ponting ko naqadeen aur shaiyqeen har lihaaz se aik lajawaab cricketer tasleem karte hain
0Positive
In ka shumar apne mulk he nahi, duniya ke kamiyab tareen captains mein hota hai
0Positive
Wo captain kya bane… in ki bating aur bhi ziyada karari ho gai
0Positive
Jis ka khamyaza mukhalif team ke bowlers ko bhugatna parhta hai
0Positive
Ricky duniya ke iklote batsman hain, jinho ne 2 martaba aik calendar saal ke dauran test matches mein 1500 se zaiyd runs score kiye
0Positive
Ricky Ponting ki qiyadat mein “ Yellow Shirts ” new dobara world cup jeeta
0Positive
Inho ne 37 test centuries banai hain aur is muaamley mein sirf Sachin Tendulkar se piche hain
0Positive
Ricky Ponting ko one day cricket mein Australia ki taraf se sab se ziyada runs aur centuries banane ke aezaaz hasil hai
0Positive
Ricky Ponting 2003 mein Wisden Leading Cricketer in the World aur 2006 mein Wisden Cricket of the Year ka aezaaz bhi hasil kar chuke hain
0Positive
19 December 1974 ko Australia ki riyasat Tasmania ke area Launceston mein aankh kholne wale Ricky Thomas Ponting ko apni salahiyaton ka loha manwane ke liye ziyada intezar nahi karna parha
0Positive
Inho ne 1995 mein sirf 20 baras ki umar mein he one dau ben ul aqwami matches aur test matches ka apna khata khol liya tha
0Positive
In ka daur e urooj us waqt shuru hua, jab 2002 mein inhe Kangaroos ke One day squad aur phir 2 saal bad he test team ka bhi captain bana diya gaya
0Positive
Aedaad o shumar ke aaiyne mein dekha jae to Ricky Ponting 131 test matches mein 37 centuries aur 46 half centuries ki madad se 10,960 runs bana chuke hain, test matches mein in ka oasat 56 20 hai, jab ke 310 one day international matches mein inho ne 42 72 ke oasat se 11,365 runs score kiye hain
0Positive
Candidates ki list khasi taweel hai aur is mein Steve Waugh, Ellen Barden, Sachin Tendulkar aur Brian Lara jaise bohat se shohra aafaaq batsman shamil hain, lekin aedaad o shumar Ricky Ponting ke haq mein gawahi dete hain
0Positive
Hashim ko bachpen se hi Squash se dilchaspi thi
0Positive
Khail ka talent un mein shooru se hi maujood tha aur achchey khelaryon mein shoomar keye jate they
0Positive
Apni aala salahyaton ki bunyad per Hashi Khan Ko British Air Force mein bahasyat Squash coach faiz kiya gaya tha
0Positive
1949 mein pehli mertaba munaqid hone wali Pakistan professional Squash champion ship ke final mein 33 sala Hashim Khan ne 21 sala Raushan Khan ko shikast di
0Positive
Un Mushkil halat mein bhi Hashim Khan ne Squash se apna rishta nahein tora aur sakht jaddo jahad kerte rahe
0Positive
Hashim Khan ko apni salahyaton ka andaza us waqt hua jab unke rishtedar Abdul Bari 1950 ke British open final mein pahonche
0Positive
Chand hi salon mein Hashim ke khail ka meyar buland ho chukka tha lakin unhein uska ihsas nahein tha
0Positive
Hashim Khan iss baat se bakhubi waqif thay ke un ka khail Abdul Bari se kafi Behter hai
0Positive
1951 mein Pakistan air force ke officers ne chanda jama ker ke Hashim ki British open champion ship mein shirket ke liye England rawana kiya
0Positive
Yeh intehai hairer ki baat thi ke woh (players) khelari jise apne watan mein khelne ki tamam sahooltein mayasser nahein thein duniya ke number aik(no one) khelari (player) ko harane mein kamyab ho gaya
0Positive
Lakin Hashim Khan ke khail mein josh tha woh walwala tha aur sub se barh ker woh jazba tha jis se woh apne hum asar khelaryon ko zair kerne ki maharat rakhte thay
0Positive
Apne ala khail se Hashim Khan ne poori dunia ko hairat mein dal diya tha
0Positive
1956 tek woh British open mein na qabil e taskheer rahe yani yeh title woh 6 mertaba lagatar jeete
0Positive
1957 ke final mein unhein Roshan Khan ne shikast di lakin 1958 mein Hashim Khan aik mertaba phir sukhuru huye
0Positive
Iss tarah Hashim Khan satween mertaba(7-time) British open jeetne mein kamyab huye jo aik naya record tha
0Positive
Woh apne daur ke azeem tareen khelari samjhe jate thay
0Positive
50 saal ki umer mein bhi woh aik naujawan khelari ko farig kerne ki salahiyat rakhte thay
0Positive
Hashim Khan ke khail ke ahem khubi yeh thi ke woh kisi bhi lamha himmat nahein harte thay
0Positive
kaha jata hai ke unhon ne Squash mein kayi new shorts ijaad kiye
0Positive
Hashim Khan ka short jo sab se zaida mashoor huwa aur jo dekhne se taluq rakhta tha woh four hand cross kort drop short tha jis ke zariye Hashim Khan ne na sirf apne hareefon ko bikheir ker rakh diya tha balke uss se Hashim Khan ne motadid points hasil kiye thay
0Positive